Sunday, November 2, 2008

Do Pal Ke leye


Wo aate hai meri Zindagi me Do pal ke leye !!

per Aapni Yaadein de jaate hai Zindgi bhar ke leye !!

Hum to JAha thi wahi hai un ke INtzaar mi na jaane kab se !!

ke wo kab aaye ge meri Zindagi mi UMerbhar ke leye!!!
............. ....Vikky

Monday, July 28, 2008

khawab jo sirf Itfaak tha.....


unse milna ek itafaak tha

baatein hui kuch shayad mere he sawalo ka jawab tha

Milna ki aarzoo thi unse ek baar poori hui Khwahish jese mera ek haasein khawab tha

bus or kitni Umeed karta isse jaydha wo chup ho gaye or mi khamosh ki toot na jaaye ye

haasein khawab sa rishta jo

sift ek itafaak tha
.................... vikky

Wednesday, July 9, 2008

loneliness


Dard se bhi aajeeb rishta hota hai!
hum jeevanbhar bhaagte hai issse or ye
har-pal humare kareeb hota hai !! na jaane kyu ye jaata nahi ro humi Sukun aata nahi ! ye bechani kyu jagaata hai or bebashi se milaata hai mi na samjha paaya is bebasi ko shayad ye meri majburi thi zuba khamosh thi or aakhee sooni thi !
kosis bhout ki chupa lo aapne aap ko kahi kese kone mi k na dhood paaye kabhi akela hone pe, per kabhi yaad banke, kabhi khamoshi banke, kabhi Sawal banke, or kabhi mayusi , doodhleya usne her-waqt mujhia aapne se door hone pe !
ab to lagta hai issse mera Jeevan bhar ka naata hai !
ye mujhia Jab kabhi akele pata hai khud-ba-khud chupke se chala aata hai !!
.......................................................vikky

Saturday, June 28, 2008

Aadhere raaste roshni ke saaye mi


Ek din Akela chal raha tha bheed mi, logo ki bheed se bhari ye Duniya jo har pal mujhia mere Akele hone ka Aahsas dela rahe thi . jo hawaaye mujhia suhani lagti thi aaj wo Maausi ke kareeb lati ja rahi thi , yu to Umeed ki ek kiran ki talash sab ko hoti hai per na jaane kyu ye raat or kali hoti ja rahi thi ,
mene suna tha har raaste ka ek anth hota hai fir kyu meri manzil mujhse dur ja rahi thi koshish per koshish kuch paane ki or utni he mausi kuch hasil na karpaane ki , ab shayad mujhmi or hemmat nahi bachi thi mi me thak kar bath gaya or sirf sawalo se gire mera maan jenek jawaab sahayd mi khud he doodh raha tha....
fir achanak door kuch roshni dekhne lagi ,yu laga jese kese registhan mi paani mil gaya ho pyase ko,, ek baar fir mene himmat jotai or chal diya usi roshani ke peeche ab to shayad wahi meri manzil thi jese jese mi nazdeek jaata wo roshani or taje hoti jati .. or meri himmat or badh jati or mujhia mera raasta achha lagne laga ab to jese mujhia us roshni mi mujhia mere manzil nazar aani lagi thi yu kuch pal ke leye to laga jese wo taje Roshni bhi mere taraf kechi chali aa rahi thi
ab na jaane kya hoa regishthan mi pani to reat ka ek patibhim hota hai jo kareeb ja kar khatam ho jata hai use tarah meri meelo ka faasala tay karne ke baad bhi shayad mujhia kuch bhi hasil na hoa aaj bhi sochta ho mi kyu bhaaga us roshani ke peeche jo mere tha he nahi use paane ki kosis insaan ko har tarf se aakela kar deti hai shayad kuch galat raaste kuch jaydha chahate jo humi har pal kosti rahti hai ! ki kyu hum bheed se aalag hai .. kyu humari pass wo sab kuch nahi jo sab ke pass hai na jaane hum aapne aap ko kyu nahi samjh paate !. shayad ye Zindagi ka sabse bada sabk hai kuch paane ki chaahat achhi hai per uske leye jo bhi tumhari pass hai us nahi khona chahiye
Ab mere nazariye badal rahe hai fir bhi duniya nahi badali aaj bhi bhi har tarf roshani ke ujaale nazar aate hai !! jo sirf kuch pal sath de sakte hai par ab inse mera koi waasta nahi mi sirf aapni manzil ke talash mi ho aadhera hai raaste per kam se kam raasta to hai !!!!!!!!

Friday, June 27, 2008

kuch baatein ankahee

Din mi nazar nahi aate sitaare per raat se kese bach paayege

Beshak na kare wo koi aahat per !

aapni Roshni ko kese chupa paayegi !!!!

.................................................vikky